jo KHud na apne irade se bad-guman hota

jo khud na apne irade se bad-guman hota
qadam uthate hi manzil pe karwan hota

fareb de ke taghaful wabaal-e-jaan hota
jo ek latif tabassum na darmiyan hota

dimagh arsh pe hai tere dar ki thokar se
nasib hota jo sajda to main kahan hota

qafas se dekh ke gulshan tapak pade aansu
jahan nazar hai yahan kash aashiyan hota

hamin ne un ki taraf se mana liya dil ko
wo karte uzr to ye aur bhi giran hota

samajh to ye ki na samjhe khud apna rang-e-junun
mizaj ye ki zamana mizaj-dan hota

bhari bahaar ke din hain khayal aa hi gaya
ujad na jata to phulon mein aashiyan hota

hasin qadmon se lipti hui kashish thi jahan
wahin tha dil bhi 'raza' aur dil kahan hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close