zindagi jab tere aasar nazar aaenge

zindagi jab tere aasar nazar aaenge
hum tere shahr ke us par nazar aaenge

meri aankhon ka kinara jo tumhein kafi ho
mere bazu tumhein patwar nazar aaenge

kahin khud ko nazar aae bhi tere baad to hum
sans lete hue be-kar nazar aaenge

log dhundenge hamein dhundne walon ki tarah
hum pas-e-chashm-e-nam-e-yar nazar aaenge

aashiqi aise qabile mein riayat kaisi
pani bharte hue sardar nazar aaenge

koi malhaar na sujhega tere baad hamein
banjh dharti ke zamin-dar nazar aaenge

dil ke parde pe agar ek nazar dalen to
kuchh pareshan se kirdar nazar aaenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close