jo kisi par na hua ho wo sitam ho to kaho ab nirala koi afsana-e-gham ho to kaho rahnuma jab na mera naqsh-e-qadam ho to kaho meri raftar kahin rah mein kam ho to kaho sharh-e-andoh-e-mohabbat pe tabassum kaisa ye koi zawiya-e-lutf-o-karam ho to kaho har jafa gham hai mere zarf ki pahnai mein mere honton pe kabhi zikr-e-sitam ho to kaho main ne har zakhm-e-bahaaran ko chhupa rakkha hai mujh se majruh gulistan ka bharam ho to kaho un ki takhliq alag aur meri fikr juda un ka mera koi andaz baham ho to kaho likh raha hai koi pur-kaif ghazal aaj 'nasir' bad-numa lafz koi zer-e-qalam ho to kaho