jo ku-e-dost ko jaun to pasban ke liye nahin hai khwab se behtar kuchh armughan ke liye tamam illat-e-darmandagi hai qillat-e-shauq tapish hui par-e-parwaz-e-murgh-e-jaan ke liye sharik-e-bulbul-o-qumri hain wo zabun-fitrat jo be-qarar rahe sair-e-gulistan ke liye umid hai ki nibahenge imtihan le kar jo is qadar mutaqazi hain imtihan ke liye na khakiyon se talluq na qudsiyon se rabt na hum zamin ke liye hain na aasman ke liye payam-e-dost hua qasidon ko wajh-e-sharaf nasim-e-misr se izzat hai karwan ke liye qafas zamana o jaan murgh o aashiyan malakut qafas mein murgh hai betab aashiyan ke liye fasane yun mohabbat ke sach hain par kuchh kuchh badha bhi dete hain hum zeb-e-dastan ke liye hamari nazm mein hai 'shefta' wo kaifiyyat ki kuchh rahi na haqiqat mai-e-mughan ke liye