mahsus kyun na ho mujhe beganagi bahut main bhi to is dayar mein hun ajnabi bahut -asan nahin hai kashmakash-e-zat ka safar hai aagahi ke baad gham-e-agahi bahut har shakhs pur-khulus hai har shakhs ba-wafa aati hai apni sada dili par hansi bahut us jaan-e-jaan se qat-e-talluq ke bawajud us rahguzar mein aaj bhi hai dilkashi bahut is waz-e-ehtiyat ki zanjir ke liye main ne bhi ki hai shahr mein aawargi bahut msatana-war wadi-e-gham tai karo 'sahar' baqi hain zindagi ke taqaze abhi bahut