jo kuchh bhi guzarta hai mere dil pe guzar jae utra hua chehra meri dharti ka nikhar jae ek shahr-e-sada sine mein aabaad hai lekin ek aalam-e-khamosh hai jis samt nazar jae hum bhi hain kisi kahf ke ashab ki manind aisa na ho jab aankh khule waqt guzar jae jab sanp hi daswane ki aadat hai to yaro jo zahr zaban par hai wo dil mein bhi utar jae kashti hai magar hum mein koi nuh nahin hai aaya hua tufan khuda jaane kidhar jae main saya kiye abr ke manind chalunga ai dost jahan tak bhi teri rahguzar jae main kuchh na kahun aur ye chahun ki meri baat khushbu ki tarah ud ke tere dil mein utar jae