jab tak zamin pe rengte sae rahenge hum suraj ka bojh sar pe uthae rahenge hum khul kar baras hi jaen ki thandi ho dil ki aag kab tak khala mein panw jamae rahenge hum jhankega aainon se koi aur jab talak hathon mein sang-o-khisht uthae rahenge hum ek naqsh-e-pa ki tarah sahi is zamin par apni bhi ek rah banae rahenge hum jab tak na shakh shakh ke sar par ho taj-e-gul kanton ka taj sar pe sajae rahenge hum