jo kuchh hai chhupi dil mein jo zehn ke andar hai

jo kuchh hai chhupi dil mein jo zehn ke andar hai
wo baat bahar-surat chehre se ujagar hai

patthar ki tarah jumle mat phenk meri jaanib
bosida bahut mere ehsas ki chadar hai

lazim hai pahan rakkhen khud apni hifazat ko
talwar tassub ki latki hui sar par hai

wo mujh se khayal apne poshida nahin rakhta
dushman hi sahi lekin ahbab se behtar hai

taskin ki bais hai pyase ke liye 'shadan'
ek bund hi pani ki dariya ke barabar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close