main na tarsunga kabhi saqi jo tarsane lage

main na tarsunga kabhi saqi jo tarsane lage
hath ke chhaale bhi mujh ko ab to paimane lage

tark pina mai kiya auron ke gham khane lage
kaif-bakhsh ab hath ke chhaale ke paimane lage

kal tar-o-taza the gulshan mein jo chehron ke gulab
dhup mein fikron ki aaj aae to murjhane lage

dil ka chhaala zakhm ki surat na kar le ikhtiyar
haal par ab mere apne rahm farmane lage

kal ka suraj amn ka paigham lae ya khuda
sham aai phir gharon mein log ghabrane lage

aaj ye mahfil mein kis ne di ulat rukh se naqab
raushni badhne lagi aur dip sharmane lage

qaum phir paegi 'shadan' khwab-e-ghaflat se najat
rafta rafta hosh mein diwane ab aane lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close