jo kuchh hai husn mein har mah-laqa ko aish-o-tarab wahi hai ishq mein har mubtala ko aish-o-tarab agarche ahl-e-nawa khush hain har tarah lekin ziyaada un se hai har be-nawa ko aish-o-tarab wo mai-kade mein halawat hai rind-e-mai-kash ko jo khanqah mein hai parsa ko aish-o-tarab rakhe hai har tan-e-uryan barahna-pai wahi jo kuchh hai sahib-e-asp-o-qaba ko aish-o-tarab kamal-e-qudrat-e-haq hai 'nazir' kya kahiye jo shah ko hai wahi hai gada ko aish-o-tarab