tere milne ko bekal ho gae hain magar ye log pagal ho gae hain bahaaren le ke aae the jahan tum wo ghar sunsan jangal ho gae hain yahan tak badh gae aalam-e-hasti ki dil ke hausle shal ho gae hain kahan tak tab lae na-tawan dil ki sadme ab musalsal ho gae hain nigah-e-yas ko nind aa rahi hai mizha par ashk bojhal ho gae hain unhen sadiyon na bhulega zamana yahan jo hadse kal ho gae hain jinhen hum dekh kar jite the 'nasir' wo log aankhon se ojhal ho gae hain