jo kuchh hua so hua ab sawal hi kya hai bayan haal karun mujh mein haal hi kya hai kuchh aur chahti hai un se shorish-e-ulfat hua khayal to aisa khayal hi kya hai zamana chahiye wo e'tiraf-e-shauq karen abhi ye roz o shab o mah o sal hi kya hai kisi khayal mein bas zindagi guzar jae gham-e-firaq o ummid-e-visal hi kya hai bura kiya na karenge kabhi sitam ka gila huzur dur hi kar den malal hi kya hai qarar dil ko mayassar nahin kahin jao nazar-farebi-e-husn-o-jamal hi kya hai wo samne hain magar husn is ko kahte hain koi nazar to uthae majal hi kya hai bada kamal kiya bhi to chhu liya daman daraaz-dasti-e-dast-e-sawal hi kya hai hue wo hum se pashiman 'suha' karam un ka wagarna aarzu-e-paemal hi kya hai