kharab-e-did ko yun hi kharab rahne de koi hijab utha de naqab rahne de zaman-e-hijr sahi phir bhi ai junun-e-ummid dimagh mein yahi rangin khwab rahne de nawazishen na badal den kahin mizaj-e-wafa nigah-e-lutf mein mauj-e-itab rahne de badal na hosh-e-parastish se masti-e-ulfat tajalliyon pe fareb-e-naqab rahne de wufur-e-husn ko asrar-e-dil-nawaz sikha nazar-nawazi-e-rang-e-shabab rahne de huzur-e-husn hai bas arz-e-ishtiyaq 'suha' fasana-e-dil-e-khana-kharab rahne de