jo kuchh ki hai duniya mein wo insan ke liye hai aarasta ye ghar isi mehman ke liye hai zulfen teri kafir unhen dil se mere kya kaam dil kaba hai aur kaba musalman ke liye hai ho qaid-e-tafakkur se kab aazad sukhan-war manzur qafas murgh-e-khush-alhan ke liye hai apnon se na mil apne hain sab apnon ke dushman har nai mein bhari aag nistan ke liye hai kuchh bakht se mere jo siwa hai wo siyahi baqi hai to meri shab-e-hijran ke liye hai diwana hun main bhi wo tamasha ki mera zikr goya sabaq atfal-e-dabistan ke liye hai hai baada-kashon ke liye ek ghaib se taid zahid jo dua mangta baran ke liye hai changul mein hai muzi ke dil us chashm ke hathon ghera ye ghazab panja-e-mizhgan ke liye hai main kis ki nigahon ka hun wahshi ki meri khak ek kohl-e-basar chashm-e-ghazalan ke liye hai dil bhi hai bala qabil-e-mashq-e-sitam-o-naz jo tir hai us tuda-e-tufan ke liye hai nikle koi kya qaid-e-alaiq se ki ai 'zauq' dar hi nahin is khana-e-zindan ke liye hai