waqif nahin to us ke labon ko kanwal na likh alfaz ko khizab laga kar ghazal na likh momin ke sath sirf khuda hai sanam nahin us bekasi ko uqda-e-mushkil ka hal na likh lafzon mein kab simatta hai wo sehr-e-be-karan sheron ko husn-e-dost ka nemul-badal na likh insan aap apni tabahi ko kam nahin duniya ki is tabahi ko kar-e-ajal na likh 'sahba' ke sath sath na chal saya-e-zamir ai mere ham-nashin meri fard-e-amal na likh