jo kuchh ki tu ne sar pe mere dilruba kiya dil hi wo jaanta hai kahun kya main kya kiya mat puchh aah-e-ishq ke khuban ke kya kiya ruswa kiya kharab kiya mubtala kiya yaro kahe rakhe hun main dawa na kijiyo qatil ko apne main ne ba-hal khun-baha kiya mulzim kiya hai aah kisi ne mujhe ba-aks aaina-ru ka apne main jis se gila kiya ban baithta hai muft mere ji ka muddai izhaar us se dil ka main jab muddaa kiya be-mehri teri kya kahun ai sang-dil ki chur mujh dil ka shisha tu ne ba-sang-e-jafa kiya us bin na qibla samjhun na qibla-numa ko main qibla use dil apne ko qibla-numa kiya malta hai ai nigar kaf-e-pa kun apne aah kya tu ne mere khun ko rang-e-hina kiya ye chashm-dasht tujh se 'jahandar' ko na thi jo ghair ke liye use tu ne jafa kiya