patthar se mukalima hai jari donon hi taraf hai hoshiyari wahshat se main bhagta raha hun phir mujh pe junun hua hai tari darwesh ko rakh ke khak-e-pa mein karta hai zamana shahryari patthar se mujhe na chot pahunchi ek gul ne diya hai zakhm kari shahri watan-e-aziz ka hun lekin hai shiar ashk-bari mazhab hai mera tariq-e-hindi derina buton se apni yari paya hai farogh-e-secularism talwar hui hai ab do dhaari guzre hue din ka istiara ye maulwi aur ye bhikari