jo kuchh numayan hua al-aman maaz-allah talattuf-o-karam-e-dostan maaz-allah kahegi wo nigah-e-itimad-e-agin kya khulengi jab meri ayyariyan maaz-allah wo rah-e-ishq mein dil ki maal-andeshi wo meri aql ki nadaniyan maaz-allah phir un ke lutf ka mausam palat ke aaega takhaiyyulat ki gul-kariyan maaz-allah ye mai-kada to nahin ye to sehan-e-masjid hai ye aa gaya main kahan se kahan maaz-allah kabhi tha dar-e-wafa ku-e-ishq aur ab hai qimar-khana-e-sud-o-ziyan maaz-allah 'nazir' qissa-e-zakhm-e-nihan kahun kis se ye dastan hai bahut khun-chakan maaz-allah