churae nazren kabhi mud ke dekhta bhi hai ki tir tirchhi nigahon ke phenkta bhi hai ajib shakhs hai likh kar phir apne dil ka waraq na jaane kaun si wahshat mein modta bhi hai tum is pe chal ke meri zat mein chale aao ye pul-siraat tumhaare liye khula bhi hai samajh ke soch ke aana ki is mohabbat mein jahan sukun hai is mein to rat-jaga bhi hai main is haqir ko aakhir ye kaise samjhaun faqat khata hi nahin ishq moajiza bhi hai main jis ko mar ke zinda bhi rah nahin sakta wahi zamir hai mera wahi khuda bhi hai bade jatan se mila hijr-e-daimi mujh ko yahi maraz hai mera aur yahi dawa bhi hai bhale zamane ne bhar di hon talkhiyan mujh mein meri zaban pe urdu ka zaiqa bhi hai bade hi ghaur se sunta hai sare sher magar ghalat kahan pe mujhe badh ke tokta bhi hai