jo kuchh tha muqaddar mein gawara to nahin tha dar-parda kahin un ka ishaara to nahin tha jitni thi khatak sans ki kul naghma-e-jaan thi kya tum ne mujhe hans ke pukara to nahin tha ta-zist mujhe jaan-e-hazin bakhshne wale is mein koi andaz tumhaara to nahin tha ro ro ke qayamat ka liya nam kisi ne koi teri ummid ka mara to nahin tha tute hue kyon dil ko mere dekh rahe ho aansu tha meri subh ka tara to nahin tha muddat se bada nam hai firdaus ka 'kaifi' gesu ko kahin us ne sanwara to nahin tha