jo la-mazhab ho us ko millat-o-mashrab se kya matlab mera mashrab hai rindi rind ko mazhab se kya matlab kitab-e-dars-e-majnun mushaf-e-rukhsar-e-laila hai harif-e-nukta-dan-e-ishq ko maktab se kya matlab hasinan-e-do-alam mein hai jalwa husn-e-yakta ka nazar mein husn-e-yakta jab hua un sab se kya matlab hamara hosh har-dam aashna-e-nahnu-aqrab hai huzuri jis ko hasil ho use yarab se kya matlab tamannaen bar aain apni tark-e-muddaa ho kar hua dil be-tamanna ab raha matlab se kya matlab hamare arsa-e-shatranj mein hai shah diwana jise hasil ho aazadi use ardab se kya matlab hamara sajda hai har gam par pir-e-tariqat ko suluk-e-ishq mein sar hai qadam markab se kya matlab hamein to yar se matlab hai 'sahir' aur yari se hamara yar aur aghyar ke matlab se kya matlab