jo lazzat-e-ashna-e-dard-e-hijran hote jate hain sar-e-ku-e-tamanna wo ghazal-khwan hote jate hain safina dub hi jaega ab bahr-e-talatum mein habab-asa harif-e-mauj-e-tufan hote jate hain wahi bante hain bais dosto betabi-e-dil ka mohabbat mein jo nazdik-e-rag-e-jaan hote jate hain mata-e-dil jinhen saunpi thi main ne rah-e-ulfat mein tajjub hai wahi ghaarat-gar-e-jaan hote jate hain dabistan-e-mohabbat mein ek aisa daur aata hai ki auraq-e-kitab-e-dil pareshan hote jate hain asar baad-e-fana hone laga hai jazba-e-dil ka wo mujh ko dafn kar ke ab pasheman hote jate hain junun mein bhi 'muzaffar' hai hamein pas-e-adab har-dam ba-qadr-e-zarf mahw-e-husn-e-jaanan hote jate hain