mir-o-ghaalib ki tarah sehr-bayan se nikle By Ghazal << tere bazuon ka sahaara to... jo lazzat-e-ashna-e-dard-... >> 'mir'-o-'ghaalib' ki tarah sehr-bayan se nikle sher aisa bhi koi dil se zaban se nikle ashk se bhige hue main mere alfaz-e-ghazal aag se koi lapak jaise dhuan se nikle koi sailab bhi roke se nahin rukta hai rasta tha hi nahin phir bhi wahan se nikle Share on: