jo likha wo likh diya jaan-e-jaan karun aaj us ka malal kya tera zikr ho teri baat ho to karun main jag ka khayal kya mili dam-ba-dam hasin raushni ki hayat meri nikhar gai tere qurb se tere pyar se ho qarar-e-jaan to kamal kya abhi sath tha abhi kho gaya abhi tirgi mein dubo gaya abhi us ki aas na pyas hai to khayal-e-qurb-o-visal kya rah-e-zindagi hai dhuan dhuan nahin ek kiran ka kahin nishan main hun be-yaqini ki chhanw mein to numud-e-rang-o-jamal kya rah-e-ashiqan jo hua sitam kabhi zikr hoga na us ka kam yunhi hoga tan jo lahu lahu to karun main jang-o-qital kya teri chah thi tera pyar tha tera qurb tha teri dosti tu nahin to phir ye hikayaten ye shikayaten ye malal kya tujhe tujh se main ne talab kiya tujhe lutf-e-jaan ka sabab kiya ye sitam hai tu ne ghazab kiya to karun main tujh se sawal kya