faza-e-sahn-e-chaman aaj sazgar nahin

faza-e-sahn-e-chaman aaj sazgar nahin
yahan bahaar to hai raunaq-e-bahaar nahin

ho lakh husn-e-sifat aap zi-waqar nahin
amir-e-shahr ki saf mein agar shumar nahin

sukun chhin gaya aasaishon ke milne se
hai kaun aaj ghamon se jo ham-kanar nahin

tabahiyon ki taraf gamzan hai ye duniya
jahan ye amn ho aisa koi dayar nahin

ho is tarah se nigah-e-jahan mein qadr meri
khuda-e-waqt hun main koi shahr-yar nahin

har ek chashm-e-karam mein fareb pinhan hai
koi kisi ka haqiqat mein gham-gusar nahin

milegi kaise yahan par kisi ko pyar ki chhanw
shajar khulus ka ab koi saya-dar nahin

ise hi kaifiyat-e-ishq kahte hain shayad
hamein sukun nahin hai unhen qarar nahin

abhi to kam hai tere tir-e-nim-kash ka asar
abhi ye dil mera tufan se ham-kanar nahin

ab itni gir gai ye sath-e-dosti apni
hamein yaqin nahin un ko eatibar mein

shab-e-firaq darae na khwab-e-wahshat se
hamein to khwab ki baaton ka eatibar nahin

khuda ke khauf se aari hai us ka dil 'ahsan'
khata pe apni zara bhi jo sharmsar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close