jo log apne iradon mein jaan rakhte the buland hausle unchi udan rakhte the tumhaare pas bhi jin ka koi jawab na tha sawal hum wo dam-e-imtihan rakhte the main dil ki baat bhi kahta to kis tarah kahta gali ke sab dar-o-diwar kan rakhte the tumhaari bazm se khamosh jo chale aae wo kam-sukhan bhi to munh mein zaban rakhte the hamein haqir na samjho tum ai jahan walo ki hum bhi zer-e-qadam aasman rakhte the