koi duniya mein aisa kaam karo jis se uncha tum apna nam karo aaj ka kaam kal pe mat talo kal jo karna hai ab wo kaam karo hum bhi insan hain tum bhi insan ho yun na insan ka qatl-e-am karo dushmanon ko kabhi bura na kaho dosto dosti ko aam karo subh hote hi ghar chale jaana aaj ki shab yahin qiyam karo ye nishani hain agle waqton ki in buzurgon ka ehtiram karo is se barbaad waqt hota hai hum se wade na subh-o-sham karo shaikh ji mai-kade mein aate hain mai-kasho uttho ehtiram karo