jo log rah gae hain meri dastan se dur kuchh is jahan se dur hain kuchh us jahan se dur har dastan-e-gham hai meri dastan se dur jaise ki koi qais ho aah-o-fughan se dur tu gar nahin hai pas to kya ranj mujh ko hai ye zindagi kahan hai teri dastan se dur jab tak tere visal ki surat nahin koi ji dhundhta hai ghar koi donon jahan se dur hai teri kahkashan bhi meri kahkashan ke pas tera falak kahan hai mere aasman se dur har sans us ke pyar ko sajda kiye gaya 'sarwar' kabhi raha hi nahin apni man se dur