hawa chali to pasina ragon mein baith gaya nami ka zahr shajar ki jadon mein baith gaya udas kyun na hon ab tere qurb ki subhen shab-e-firaq ka dar sa dilon mein baith gaya abhi fazaon mein barq-e-sada hi kaundi thi zamana khauf ke mare gharon mein baith gaya na kaam aa saki aaza ki chaar-diwari makan badan ka zamin ki tahon mein baith gaya umid-o-bim ke sae hain jis taraf dekhun main chalte chalte ye kin jangalon mein baith gaya hawa ka samna patte gharib kya karte khada darakht bhi tez aandhiyon mein baith gaya baras padin mere sar par siyahiyan 'siddiq' sahar ka rup-nagar zulmaton mein baith gaya