jo log zakhm ka marham talash karte hain hum aise logon ko har-dam talash karte hain ye kis ke ashk gire hain gulon ke daman par ki log ashk mein shabnam talash karte hain tamam karte hain zardar ki khabar-giri magar gharibon ko hi kam talash karte hain suragh milta hai un ko khuda ki qudrat ka jo us ke raazon ko paiham talash karte hai yahan pe zulm tashaddud se aaj tang aa kar sukun-pasand bhi ab hum talash karte hain jo chahte hain bhalai watan ke matwale wahi to amn ka parcham talash karte hain kabhi to apne gareban mein jhank kar dekhen jo aib ghairon ke har-dam talash karte hain