mehr-o-ulfat ka tarana ek fasana ho gaya mahw-e-hairat hun ki kya se kya zamana ho gaya shokhiyan bebakiyan sab rafta rafta kam huin iltifat-e-yar jab se suqiyana ho gaya dhamkiyon ke sae mein ab desh chal sakta nahin dao yaro ye siyasat ka purana ho gaya gardish-e-ayyam ne chhoda kahan la kar mujhe jo kahani thi meri un ka fasana ho gaya waqiat-e-umr-e-rafta yaad sab aane lage zindagi se phir mera rishta purana ho gaya ek sukun dil ko mila aur ruh ko rahat mili jab taaruf un se mera ghaebana ho gaya rok sakte hain kahan wo qimaten petrol ki tel par dushman ka qabza ghasibana ho gaya aap ke aate hi ghar mein raunaqen badhne lagin aaj ka 'bedar' mausam bhi suhana ho gaya