jo mabad mein diya jalane aati thi wo ladki kyun andhiyaron ki nazr hui wo jis ne ashkon se haar nahin mani kis khamoshi se dariya mein dub gai ret pe mere aur tumhaare qadmon ki ek tahrir thi so wo dariya-burd hui lafzon ke shahzade ka rasta dekhe jangal mein rahne wali bholi ladki teri mukhbir teri hi hamraaz kaniz meri dushman meri ek saheli thi bhuk hi pale apni kokh mein meri man banjh duaen mehnat wale hathon ki wo ghar jis ke taq mein diya na tha lekin sehn mein ek kundari rakkhi rahti thi