jaane kya aaseb tha patthar aate the raat gae kuchh sae chhat par aate the subh wo kyari phulon se bhar jati thi tum jis ki belon mein chhup kar aate the main jis raste par nikli us raste mein sahraon ke beach samundar aate the chand ki dhimi dhimi chap ubharte hi sare sapne phul pahan kar aate the is se meri ruh mein utra hi na gaya raste mein do gahre sagar aate the khwabon ke yaqut se poren zakhmi hain ras mujhe kab aise zewar aate the