jo mai-kade mein bahakte hain ladkhadate hain mera khayal hai wo tishnagi chhupate hain zara sa waqt ke suraj ne rukh jo badla hai mere wajud pe kuchh sae muskuraate hain dilon ki samt pe lafzon ke sang mat phenko zara si thes se aaine tut jate hain tilism-e-zat ki phaili hai tirgi itni ki wusaton ke ujale simatte jate hain sitam-zarifi-e-haalat ka karishma hai bhatakne wale mujhe raste batate hain jinhen 'hayat' shuur-e-hayat hasil hai fareb dete nahin hain fareb khate hain