mahdud-nigahi ke sanam tut rahe hain tarik ujalon ke bharam tut rahe hain is daur ki badli hui raftar ka aalam shishon ki tarah naqsh-e-qadam tut rahe hain tishna hai mera jam to kuchh gham nahin saqi ye gham hai ki rindon ke bharam tut rahe hain is raaz ko arbab-e-siyasat se na puchho kyun rabta-e-dair-o-haram tut rahe hain ye zist hai ya rit ka kamzor gharaunda ban ban ke yun hi sadiyon se hum tut rahe hain haalat ka ye rukh bhi 'hayat' aap samajh len kyun zulm ba-andaz-e-karam tut rahe hain