jo main ne husn ko sajda kiya kyon khalq hairan hai mohabbat mera mazhab hai mohabbat mera iman hai mohabbat ek tufan aur haibatnak tufan hai ki jis ki ibtida mein intiha ka josh pinhan hai tajjub hai ki ye duniya mujhe kafir samajhti hai nahin malum use shayad mohabbat ain iman hai kahani hai kahani hi sahi afsana-e-ulfat magar ye wo kahani hai haqiqat jis mein pinhan hai jahan ko dars-e-ibrat hai mera zauq-e-wafadari main us ka dost banta hun jo mera dushman-e-jaan hai bhala dekha bhi hai marte kisi ko waqt se pahle haqiqat mein qaza hi zindagani ki nigahban hai