jo mal us ne sameta tha wo bhi sara gaya wo khwahishon ke tasadum mein aaj mara gaya khumar-e-ishq ki ghaarat-gari hai donon taraf hamari umr gai aur sukun tumhaara gaya bipharti mauj ke aage ye kis ko yaad raha kahan pe naw gai aur kahan kinara gaya bas ek jaan bachi hai chalo nisar karen suna hai nam hamara hi phir pukara gaya zamin pe us ki khabar hai koi na hai parwa falak se tut gaya to kahan sitara gaya saba ke hath shab-e-hijr ke guzarte hi tumhaari samt mein ashkon ka goshwara gaya wo ped tut gaya to mujhe kuchh aisa laga ki jaise apni mohabbat ka istiara gaya har ek naqsh teri yaad se munawwar tha main apne mazi mein kal raat jab dobara gaya