khatm hoga ab safar pesh-e-nazar hai ru-e-dost aa rahi hai aaj ki manzil se mujh ko bu-e-dost aage aage hasraten aur pichhe pichhe main chala is tarah ghar se nikal kar ja raha hun su-e-dost pahle to dil ne jigar ki jaan na-qadri se li dhundhta phirta hai aalam bhar mein ab pahlu-e-dost wah-ri qismat ki gardun par sahar hone lagi go pade the mere bazu par abhi gesu-e-dost khud-bakhud meri rag-e-gardan phadak uthti hai aaj kar raha hai koi zikr-e-quwwat-e-bazu-e-dost lafz jo dil ki talab mein tha wo bilkul sehr tha baaton hi baaton mein mujh par chal gaya jadu-e-dost koi diwana chala hai hashr mein is waza se chaak ta-daman gareban munh pe khak-e-ku-e-dost dil se mujh ko saf saf aakhir ye kah dena pada ab wahi sakhti bhi jhele jo bigade khu-e-dost ho agar zinda tum ai 'alim' to ab hoshyar ho kab talak soya karoge thak gaya zanu-e-dost