jo mango wo kab milta hai

jo mango wo kab milta hai
ab ke hum ne dukh manga hai

ghar mein haal buzurgon ka ab
pital ke bartan jaisa hai

nati poton ne zid kei to
amma ka sanduq khula hai

hath se us ne di thin ganthen
ab danton se khol raha hai

ab tum rakh utha kar dekho
kya kya jism ke sath jala hai

dur waso ya pas raho ab
rishton ka pul tut chuka hai

dub chamakti hai kheton mein
bargad chinta mein duba hai

roti aankhen hansta chehra
angaron par phul khila hai

aankhon se hai ojhal manzil
pairon se rasta lipta hai

dub rahi do aankhen hain aur
bujhti si fani duniya hai

kohre mein lipti hai basti
suraj bhi jugnu lagta hai

shab 'khayal' aai phir us kei
aankhon se aansu tapka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close