hijr jab tai hai to be-kar na hujjat karna jaane wale ko bahut pyar se rukhsat karna wo jo bheje the teri mast nigahon ne payam ek bar aur zara un ki wazahat karna sab ke hathon mein ye ejaz-e-masihai kahan ek hi lams ka mansab hai karamat karna ye to aisa hai ki is rah mein chal padiye ishq karna to baghair izn-o-ijazat karna dard uthta bhi rahe aankh se chhalke bhi nahin sikhte sikhte aata hai shikayat karna hum ko aadab-e-mohabbat nahin aate 'sima' hum ko bas tut ke aata hai mohabbat karna