jo mar gae teri chashm-e-siyah ke mare na hashr ko bhi uthenge nigah ke mare misal-e-barg-e-khizan sarsar-e-firaq se aah patakte phirte hain sar hum tabah ke mare azizo dil na do yusuf ki kar ke chah kabhi ki ja ke chah mein girte hain chah ke mare ilahi hashr mein aawaz-e-sur sun kyunkar uthunga aah main bar-e-gunah ke mare hazar kar aah-e-dil-e-natawan se ai zalim ki koh tal gae hain barg-e-kah ke mare na samjhiyo ki falak par sitare hain raushan hain rakhna-dar mere tir-e-ah ke mare bisan-e-naqsh-e-qadam tere dar se ahl-e-wafa uthate sar nahin hargiz tabah ke mare ujad gae khirad-o-sabr-o-hosh-o-tab-o-tawan usi ke naz-o-ada ki sipah ke mare jahan-e-dil ai 'jahandar' ek din na basa jafa-e-shah-e-taghaful-shiar ke mare