jo mere bas mein hai us se ziyaada kya karna safar to karna hai us ka irada kya karna bas ek rang hai dil mein kisi ke hone se ab apne-ap ko is se bhi sada kya karna jab apni aag hi kafi hai mere jine ko to mahr o mah se bhi istifada kya karna tere labon ke siwa kuchh nahin mayassar jab so fikr-e-saghar-o-saqi-o-baada kya karna tamam kashtiyan sahil pe hain abhi thahri abhi se in ko jalane ka wada kya karna