kis qadar mahdud kar deta hai gham insan ko khatm kar deta hai har ummid har imkan ko git gata bhi nahin ghar ko sajata bhi nahin aur badalta bhi nahin wo saz ko saman ko itne barson ki riyazat se jo qaem ho saka aap se khatra bahut hai mere is iman ko koi rukta hi nahin is ki tasalli ke liye dekhta rahta hai dil har ajnabi mehman ko ab to ye shayad kisi bhi kaam aa sakta nahin aap hi le jaiye mere dil-e-nadan ko shahr walon ko to jaise kuchh pata chalta nahin rokta rahta hai sahil roz-o-shab tufan ko