jo mere dil mein farozan hai shairi ki tarah main us ko dhundhta phirta hun naukri ki tarah jo meri zat ka izhaar hai wo lafz abhi mere labon pe sisakta hai khamushi ki tarah hawa ka sath na de is nagar baras ke guzar main be-hayat hun sukhi hui nadi ki tarah to la-zawal hai be-manawiyaton ki misal main be-sabaat hun mangi hui hansi ki tarah na koi yaad mili hai na koi zakhm bhara 'nisar' umr kati hai musafiri ki tarah