uljha dil-e-sitam-zada zulf-e-butan se aaj nazil hui bala mere sar par kahan se aaj tadpunga hijr-e-yar mein hai raat chaudhwin tan chandni mein hoga muqabil katan se aaj do-chaar rashk-e-mah bhi hamrah chahiyen wada hai chandni mein kisi mehrban se aaj hangam-e-wasl radd-o-badal mujh se hai abas niklega kuchh na kaam nahin aur han se aaj qar-e-badan mein ruh pukari ye waqt-e-naza muddat ke baad uthte hain hum is makan se aaj khinchi hai charkh ne bhi kisi mang ki shabih sabit hui ye baat mujhe kahkashan se aaj andher tha nigah-e-'amanat' mein sham sahar tum chand ki tarah nikal aae kahan se aaj