jo meri aankhon mein surkhi thi sham hote hi kisi ki yaad sulagti thi sham hote hi tamam din main tamazat mein kat deta tha phir ek hawa mujhe chhuti thi sham hote hi khincha hua chala jata tha main kanar-e-ab wahan udasi bulati thi sham hote hi gale na lagta main us ke to aur kya karta faza mein khunki hi aisi thi sham hote hi koi qadim udasi basi hui thi wahan ujad basti sisakti thi sham hote hi main apne dukh use shayad kabhi nahin kahta magar wo baat hi karti thi sham hote hi