kabhi khula hi nahin kitnon par ki kya hai safar qadam-qadam pe tere jaise aaina hai safar chalo batata hun al-mukhtasar ki kya hai safar jahan se aae ho us samt lautna hai safar kahin pe jangen ladin to kahin padao kiya hum aise khana-ba-doshon ka aasra hai safar thakan safar ki mera hausla badhati hai na hon sa'ubaten rah mein to be-maza hai safar kahin to hogi hi manzil main dhund lunga use huzur mera pasandida mashghala hai safar kisi kisi pe safar ta-hayat be-ma'ni kisi kisi ke liye zindagi-numa hai safar 'ajib dukh hai hum ujde hue qabilon ka hamare waste sangin masala hai safar