jo meri haalat pe hans rahe hain mujhe kuchh un se gila nahin hai wo na-samajh hain samajh rahe hain ki jaise mera khuda nahin hai khulus idhar bhi ho aur udhar bhi to dil se phir dil juda nahin hai main un ko chahun wo mujh se ruthen kabhi to aisa hua nahin hai jhukaiye dil ko sar se pahle ki lutf hasil ho zindagi ka na ho agar ijz bandagi mein to bandagi ka maza nahin hai buraiyan hi buraiyan hain buraiyon ka jahan hai sara buron se daman bachaen kyun kar buron ke daman mein kya nahin hai ye main ne mana ki zindagi mein hawadisat-e-jahan bhi kuchh hain magar hai mujh par karam bhi un ka nasib mera bura nahin hai nizam-e-duniya badal hi degi use samajhna nida-e-ghaibi sada-e-takbir jo hamari hai ye hamari sada nahin hai gul-o-shajar par hai murdani si faza pe chhaya hua hai matam ye tujh ko kya ho gaya hai bulbul jo aaj naghma-sara nahin hai pata hi milta nahin kuchh us ka hamein to bazar-e-zindagi mein to kya jahan-e-kharab mein ab kahin bhi jins-e-wafa nahin hai jahan se hai rabta jahan tak jahan hamara jahan ke dam hain ye kaise kah den ki zindagi mein kisi se kuchh wasta nahin hai hujum-e-isyan se kuchh nahin dar samajh chuka hun ba-roz-e-mahshar hai us ki rahmat ka saya sar par to kyun kahun aasra nahin hai jo aa hi baitha hai aaj 'khushtar' to ho ke jaega khush se khush-tar tumhaare dar se uthe ye kyunkar abhi to daman bhara nahin hai