kufr ek rang-e-qudrat-e-be-intiha mein hai jis but ko dekhta hun wo yaad-e-khuda mein hai aashiq hai jo ki jama-e-sidq-o-safa mein hai mashuq hai jo parda-e-hilm-o-haya mein hai aalam hai mast sajda-e-jaanan mein ta-abad masti bala ki baada-e-qalu-bala mein hai iman hai aks-e-rukh to hai gesu ka aks-e-kufr wo kaun chiz hai jo teri ma-siwa mein hai abru ke mahw kabe mein surat ke dair mein ushshaq rukh ka silsila nur-o-ziya mein hai be-jalwa-gah-e-yar kahan ye ruju-e-khalq bahs-e-fuzul barhaman-o-parsa mein hai juya hai bas ki aariz-o-gesu-e-yar ka paband shaikh sajda-e-subh-o-masa mein hai raftar moajaza hai to hai sehr chaal mein shokhi ajab tarah ki tere naqsh-e-pa mein hai teri taraf ko muslim o kafir ki hai ruju puja mein barhaman hai to zahid dua mein hai maqtul lakhon ho chuke shaeq hazar-ha lazzat ajib yar ki tegh-e-jafa mein hai ek pech-o-kham mein gabr-o-musalman hain mubtala wusat bala ki yar ki zulf-e-rasa mein hai 'bahram' aashiqana ghazal ek aur bhi quwwat abhi bahut teri fikr-e-rasa mein hai