jo mil gaya hai yahan jalwa-e-khayali hai ye baat hum ne mohabbat mein aazma li hai ajib saltanat-e-ishq mein nizam mila jo baadshah nazar aata hai ek sawali hai tumhaari yaad badhi aur dil hua raushan ye ek shama andhere ne khud jala li hai hunar ki aag jalai hai khak se us ne kamal us ka hi hai meri be-kamali hai sada ye sochta hun us ka faiz kya likkhun ki mera dost bhi aur aadmi misali hai kabhi diya bhi hai lamha kisi ko chahat ka to zindagi ne ye fursat kabhi chura li hai kiraya-dari wasila hai apne jine ka tum aana chaho to dil ka makan khali hai kabhi to jhanko zara is ki aag ke pichhe ye aadmi ki jo zahir mein la-ubaali hai